Tuesday, 14 February 2012

Valentine Day





kya hai ye valentine,
jaise marne ke baad murde ko ek din jalane ki rasm hai...
waise he  pyaar ki khaak udane ka jashan hai.
koi uss khaak ko sir pe lagye baaghi ban jata hai,
to koi usse hawa mai udaye aage bad jata hai.
ya phir bas
haftey ka gujarta ek or din...phir kyu sabko iska itna intejaar rehta hai.
kya aaj din mai ghante badh jatein hai,
kya tarein zameen mai nikal atey hai...
aisa kuch bhi to nahi..
to janab aap kyu pagal hue jatein hai.
har taraf yahi shor hai...hawa mai bhi mai pyaar hai..
or pechi gali mai gunguna rha mera yaar hai.
jab pyaar kiya to darna kya.

mano sab pyaar walo ko aaj degree milege..
aap pyar krne ke layak ho sab pe ye mohar chapegi.
ladke ka to din exam se kam nahi hota..
jitna pada pyar ke barein mai pichle saal..sab naye andaaz mein premika ke samne nikal.

pyaar karte ho karte rahoge iski guarantee do..badle mai hum tumhre hai iski warantee lo.
gift dekhen ke baad number diye jayenge..jitna mehnga gift utne sache aashik kehlayenge.

aree kya hai ye bukhar jo sab pe chdaa hai...pura zamana he pyaar ki dhun mai pda hai.
aaj log din dekhkar pyaar karte hai.

har kisi ko yahi dhokha hai ,duniya mai bas usko scha pyaar hua hai..phir kuch mahine baad kya hai ye pyaar, bakwaas hai sab bas yahi chillata hai.

shyad pagal they wo laila majnu heer ranjha...jinke liye har din ek valentine tha,
jo pal pal ek dusre k liye tadapte they..
sath jee na sake to sath mar gaye.
or apne pyaar ko amar kar gaye.