Monday 18 May 2015

Tu chaahe ya na chaahe jaan

Hai laal, neeli, peeli ye mann ki tarangein
Sab hanste hai mujhpe
Phir jalte sabhi hain
Hawaaon ne cheekha hai shamil bhi shaam
Mukaddar Sikandar ka bhi maan'na hai
Ke tera bhi chhota sa ghar hai yahaan

Tu chaahe ya na chaahe jaan :)

Wednesday 25 June 2014

Baarish

Badrang udaisiyo ki shaam thi,
jise barish rangeen kar gayi,

patto pe barish ka pani boond boond bajta  hai
barish beet bhi jaye to mann yu geela rehta hai

barish apne peche khawbo ki geeli zameen chor zati hai
zispe pe aksar yaad ka podha lehrata hai,

magar, mann mai yaad ka podha afsos ki jadho k sath badta hai

boondo se bhiga dena barisho ki aadat hai
par ye barish akeli nahi aati,
hawa ke sath milke jo boondon ne sajish ki hai
mann mai use ek kone ko phir se jagane ki koshish ki hai,

jise bhula dene ke brahm humne pala hai,
haseen dino ko pankh lage hote hai,
or unko udte rehne ki betabi  hoti hai,

uske bina saal girte gaye,
or bairshe nakaam hoti gaye.

sabhi gujre lamho ka bhoj leke chalte hai
aankhon mai tute hue bharose ke tukde aksar chalak padte hai.

ek dhela badal mere aankhon mai umad gaya

barish mai aansu gum ho jata hai,
or badal ke sath baras ke ye mann bhi halka ho jata hai.

Tuesday 29 April 2014

Untitle


Ek din maine Maa se ruth kar yun keh diya
tera hissa hu mai
iss ghar ki daro diwar mai bassa kissa hu main
phir kaise kehti hai mujhko parayi
kaise deti hai vidayi
bete hokar bhi, mai tere apni na ho payi.

Ma boli pyar se..
9 mahine apne khun se seench kar nikala hai.
bahon k palane mai...apni palko pe pala hai.
tere hone se mai Ma bani, mujhme abtak wo gurur chaya hai.

mera hissa nahi...mere chaya,
tu mere he chavi hai.
mujhse tu kuch yun judi hai.
tere roop par itrati main hoon.
tere jeet pe ye jhuke kandhe akad jataein hai
tujhe rota dekh mera dil bhar aata hai.

maine tujhe kuch yun jiya hai
sir naam nahi, apna jeevan tujhe diya hai.

Mere bachi..
isse pehle ki wo ghadi aaye
jahan siskiya sehnai mai dab jaye.
jeelay apna bachpan
mere sang mere samne.
kunki ye dehleez paar karte he tu kisi or ki kehlaye.

Saturday 25 January 2014

Pratibimb


Aainey ka dhundla chehra
aaj  saaf kiya hai,

dabbi dabbi si hassi aaj khil ke chehre pe aayi hai
apne aap ko kuch yun azaad kiya hai,

todi hai zanzeere khayalo ki,
khud ke hone pe kuch yun aitbaar kiya hai

hatien hai ilzaam is dil se,
mann ki adalt ne aaj baijjat bari kiya hai,

aaj mehsoos ki hai dhadkan is dil ki,
khud ko apne pass kuch yun mehsoos kiya hai.

Sunday 28 July 2013

Inklaab


Dekho umda hai jan selaab,
Phir bhi adhura inklaab,

hai desh ka nagrik jgaa hua,
lekin hai bohut dbaa hua,

chunaav ki takat hai pehchanta
lekin hai yahan sabhi bhrasht ye bhi wo janta.

kis kis ko sach batloagey,
kis kis ko samne laogey

jab nyay karney wala he papi ho jaye
to kaunsa kanoon banogey,

jab tak har insaan ka khun na kholega
jab tak bapu ka namak na bolega,

jab jagega har kisi ke andar ka bhagat singh
desh mai kranti lane ko,
bhrashtachari ko mitane ko,

jab mangega subhash laghu laal,
tab layega rang ye inklaab.

6 Months

You're the direction I follow to get home
When I feel like I can't go on, you tell me to go
And it's like I can't feel a thing without you around
And don't mind me if I get weak in the knees
'cause you have that effect on me, you do
Months going strong now, and no goodbye
Unconditional, unoriginal
Always by my side
Meant to be together
Meant for no one but each other
You love me, I love you harder so
Everything you say
Every time we kiss, I can't think straight
But I'm okay
And I can't think of anybody else
Who I hate to miss as much as I hate missing you
So please, give me your hands
So please, just take my hand.

Wednesday 24 July 2013

Aakhri Intezaar

Ye aakhri intezaar bhi ab khatam hua,
Dhuan ye sa ye samay udd gaya,
sharab se mujhme chad gaya,
ek ek ghadi hath se phisal gayi aise..
 marte hue insaan se uski sanse chin gayi jaise..

wakt ke sath kuch aise dub gaye,
mere rastey manzil se juda ho gaye,

Iss tarha se humne din guzare,
tere firak mai humne subha shaam guzare.

Tere sath thi jo duniya suhani,
Ab wo ho gayi bemaani

pighal gayi mai jaltey jaltey,
thak gayi ye ankhein maltey maltey,
par na aaya tu,
or ye aakhri intezaar bhi ab khatm hua,

Humney tumhe pukara to bohut tha,
iss dil ki awaz hi bezubaan ho gayi

ek aakhri umeed bhi  mar gayi,
ye aakhri shamma bhi bujh gayi,

bujh gayi har shamma tere naam ki
har ek lau tere intejaar ki.
Ye aakhri intezaar bhi ab khatam hua,