Sunday, 26 May 2013

Wakt ke panno ki raftar...

Wakt ke panno ki raftar..
kaun naap paya hai,
iske agle panne mai kya hai,
ye kaun bhap paya hai,

kitno ne isse padna chaha,
apne bas mai karna chaha,
magar pani ko muthhi mai kaun pakad paya hai,
uske bahav ko kaun roke paya hai.

wakt ke sath apni kismat ki kashti teyrao,
na usse aage nikalne ki zidd karo,'
na usse pechey reh jao,

mehnat ki syahi se ..
khwaishon mai rang bhar dalo,
iske har panne par roj nayi khani chapo,
 na jane ye panne hawa ke sath kab palat jaye,
or ye kitab kori he reh jaye.


Friday, 24 May 2013

SAFAR...

 Dekha hai kisi ki nazro mai chadne se utar jane ka safar...
 garur se  sharm mai jhalak jane ka safar..

 palko mai rehkey itrane se....
 sath hone pe ithlane tak...
 pechan se mukar jane ka safar..

 aankhon se aansu banke tapke..
 hasi ki trha hotho pe lehraye hai..
ab tere yadon ne bhi humko anjaan mana...

kabhi mehkate they tere yaad se..
ab reh gaye  kitab mai dabe phool ke ehsaas se..

kuch to tere adat thi gussa jana..
or kuch khata humse hui ye mana..

dil ko ye veham hai..
ki dard tujhe bhi hai...
par dil ko kya samjhaye
ye to hai nada jana.

kabhi zindangi tere ata thi,
tera naam zapa karte they....

ek ek ashk mera tune moti jana..
humne kab khwab mai bhi  samundar manga..

 karta tha dava sath nibhane ka...
 ab bas tere bin ye zindangi basar jana..




Monday, 13 May 2013

yaar ki talash thi khuda ki nahi,
ki jha dhunda jisme dhunda kabhi mila he nahi

tujhe haqekat main manga tha,hasrato mai nahi,
puri hui hai bas jo khwabo mai,tum mere wo daulat ho.