Ye aakhri intezaar bhi
ab khatam hua,
Dhuan ye sa ye samay udd
gaya,
sharab se mujhme chad
gaya,
ek ek ghadi hath se
phisal gayi aise..
marte hue insaan
se uski sanse chin gayi jaise..
wakt ke sath kuch aise
dub gaye,
mere rastey manzil se
juda ho gaye,
Iss tarha se humne din
guzare,
tere firak mai humne
subha shaam guzare.
Tere sath thi jo
duniya suhani,
Ab wo ho gayi bemaani
pighal gayi mai jaltey
jaltey,
thak gayi ye ankhein
maltey maltey,
par na aaya tu,
or ye aakhri intezaar
bhi ab khatm hua,
Humney tumhe pukara to
bohut tha,
iss dil ki awaz hi
bezubaan ho gayi
ek aakhri umeed bhi
mar gayi,
ye aakhri shamma bhi bujh
gayi,
bujh gayi har shamma
tere naam ki
har ek lau tere
intejaar ki.
Ye aakhri intezaar bhi
ab khatam hua,
No comments:
Post a Comment